Friday, April 6, 2007

Maut

Following is an account of my speculations on death, when I perceived death as a distance to be traversed, or a time to be spent, between two lives, or may be between two consecutive heartbeats.


Kshan bhar ki peeda,
ya ek jeevankal ki avdhi?
Ek pal ki moorcha,
ya varshon ka intezar?
Ek vaanchit lakshya,
ya ek bhayasvi prahaar?
Agrasar ho raha kaarvaan, aviram,
aur badh rahi hain, dooriyaan.
Aatm aur sansaar ke beech ki dooriyaan,
ek hi pal ke faasale mein,
zindagi aur maut ke beech ki dooriyaan.

Dooriyaan,
jism aur rooh ke darmyaan dooriyaan,
jab raktapipaasu ho jaaye anal,
aur mitti ka rakh se ho milan,
dhoomra ke saath saath,
praan ki manzil ho anant disha,
jab ek chhoti si urja ka,
shail shakti se ho saamna...
Bas ek chhoti si agni pariksha,
kahin viyog ashru ki boondein,
kahin par mukti ki bhiksha.
Kyonki.... badh rahi hain dooiyaan,
Sparsh aur ehsaas ke beech ki dooriyaan.

Dooriyaan,
Bandhan aur mukti ke beech ki dooriyaan,
Jab aatm ne tod daala moh paash,
jeevan ke mool uttardaaitva ka jab ho abhaas,
antarchakshu ki nidra jab sampann ho,
param-jyoti ki tapasya jab bhang ho,
nashvar shareer ki shakti jab ksheen ho,
jeevandaayi saahas-sroat jab jeerna ho
to tay hoti hain dooriyaan,
Karma aur moksha ke beech ki dooriyaan.

Jeevatma ko karti atma se prithak,
mangalmayee mrityu tandav ka aadhaar,
pranimaatra ki seemaaon ka parichayak,
shushka jeevan-vriksha par vajra prahaar,
Ek atal satya ko sthapit karti,
dharaa aur gagan ke beech ki dooriyaan,
Ek hi pal ke faasale mein,
do dhadkanon ke beech ki dooriyaan.

4 comments:

Vijeta said...

I do kw..but in this particular poem I found tat it was written in some confused state of mind..still a gud effort, looking for more..I mean beyond Mrityu n Maut:p

BigBen said...

yaar tu to bahut bada philosopher nikla.......
ye philosophy thoda bahut humain bhi sikha dijiye.......
aakhir lab partner hone ka aur aapke lab record likhne ka kuchh to fayda milna chahiye........

The Recluse said...

@bhoga: apne business venture mein partner banaoge tabhi sikhaounga.

Niksworth said...

yaar agar tu yeh khud se likha hai to hats off!!! maan gaye bhai...ek naye dinkar ka janm hua