Friday, April 6, 2007

Maut

Following is an account of my speculations on death, when I perceived death as a distance to be traversed, or a time to be spent, between two lives, or may be between two consecutive heartbeats.


Kshan bhar ki peeda,
ya ek jeevankal ki avdhi?
Ek pal ki moorcha,
ya varshon ka intezar?
Ek vaanchit lakshya,
ya ek bhayasvi prahaar?
Agrasar ho raha kaarvaan, aviram,
aur badh rahi hain, dooriyaan.
Aatm aur sansaar ke beech ki dooriyaan,
ek hi pal ke faasale mein,
zindagi aur maut ke beech ki dooriyaan.

Dooriyaan,
jism aur rooh ke darmyaan dooriyaan,
jab raktapipaasu ho jaaye anal,
aur mitti ka rakh se ho milan,
dhoomra ke saath saath,
praan ki manzil ho anant disha,
jab ek chhoti si urja ka,
shail shakti se ho saamna...
Bas ek chhoti si agni pariksha,
kahin viyog ashru ki boondein,
kahin par mukti ki bhiksha.
Kyonki.... badh rahi hain dooiyaan,
Sparsh aur ehsaas ke beech ki dooriyaan.

Dooriyaan,
Bandhan aur mukti ke beech ki dooriyaan,
Jab aatm ne tod daala moh paash,
jeevan ke mool uttardaaitva ka jab ho abhaas,
antarchakshu ki nidra jab sampann ho,
param-jyoti ki tapasya jab bhang ho,
nashvar shareer ki shakti jab ksheen ho,
jeevandaayi saahas-sroat jab jeerna ho
to tay hoti hain dooriyaan,
Karma aur moksha ke beech ki dooriyaan.

Jeevatma ko karti atma se prithak,
mangalmayee mrityu tandav ka aadhaar,
pranimaatra ki seemaaon ka parichayak,
shushka jeevan-vriksha par vajra prahaar,
Ek atal satya ko sthapit karti,
dharaa aur gagan ke beech ki dooriyaan,
Ek hi pal ke faasale mein,
do dhadkanon ke beech ki dooriyaan.

Monday, April 2, 2007

Talaash

Samay ki pathreeli, kanteeli raahon mein,
bhatakti manodashaaon mein,
smrition mein, asmanjas ki chaaon mein,
karaahati ummeedon ki aahon mein,
zindagi ki baahon mein,
naakamiyon ki ullason mein,
dhairya ki ghatati hui saanson mein,
bhavnaon aur manshaon ke bhanvar mein,
tham chuke zindagi ke safar mein,
kahin mera astitva kho gaya hai,
Is sarvavyapi andhakar mein, kahin so gaya hai.

Mrityu jaisi is andhakar mein,
is sannate mein,
khamosh cheekhon ki chitkaar mein,
deep koi pradeept ho, mujhe iski aas hai,
Mujhe.... apni talaash hai.