jam gayee hai hansee,
cheekh raha hai soonapan,
ro rahi hai sard sameer.
Tham sa gaya hai samay,
ruk si gayee hai zindagi,
udwign ho utha hai man,
thak gaye hain mere kadam.
Na jaane mujhe aisi dasha kyon bhayee,
ki shashwat shraap ban ke hai chayee,
gehri tanhayee.
Parde ki bhanti, dharti pe lehraati parchayee,
aur kaanto ki tarah, use bhi chubhti hai tanhayee.
Use dekh kar bojh hota hai kuch halka,
saath mein usse hi karta hoon kuch sawaal.
Par jab ambar mein lagaa chane dhundhalka,
lagaa jaise, jawab ki raah mein guzar gaye kayee saal.
Phir ayee, parchayee se bhi kaali,
jag ko tam ki chadar se dhakne waali,
naisargik saundarya samragyee, raat;
aur bichad gaya mera parchayee se bhi saath.
Tab chayee, rajni se bhi kaali, wahi tanhayee.
Moondkar aakhein, dekhta hoon yaadon ke abaad sheher,
jinke sahilon se takra rahi hai leher pe leher.
Par in lehron ne mita diye padchinha meri raah se,
akela bhatak gaya hoon, door apne ghar baar se.
Yaadon se vidaa li, pahuncha kartavya ke dwaar,
kandhe pe liye hasraton aur ummeedon ka bhar.
Tabhi saesaraati hawa ne darwaaje par di dheemi dastak,
aankhein khuli meri, khud se poocha.. kahan the tum ab tak?
Le kar bojhil man aur ladkhadaate hue kadam,
bahar nikla,magar chaya tha ab bhi wohi tam,
aur wahi, sadaa ki sahchari, Tanhayee.
Aaine mein soorat lagti hai ab anjaan,
apni awaaz ki main bhool gaya pehchaan,
aankhein thak gayee hain takte takte sooni raahein,
deewaron ki cheetkaron se dab jaati hain meri aahein.
Khud se baatein karte oob chuka hai ab ye man,
is manchahi azaadi mein bhi, chubhta hai ek bandhan.
Haan, isliye, kyonki main hoon paristhitiyon ka maara,
is anant akash ka bujhta hua ek taara,
zehan mein bhare dard ka saagar saara,
jaise behti nadi ki thokar khaati jaldhaara,
lekin phir bhi.... Tanhayee ka pyaara,
Tanhayee ka Pyaara.